Na Main Ajami Na Hindi, Na Iraqi-o-HijaziKe Khudi Se Main Ne Sikhi Do Jahan Se Be-Niazi
Tu Meri Nazar Mein Kafir, Main Teri Nazar Mein KafirTera Deen Nafas Shumari, Mera Deen Nafas Gudazi
Tu Badal Gya To Behar Ke Badal Gyi ShariatKe Mawafiq-e-Tadarowan Nahin Deen-e-Shahbazi
Tere Dast-o-Dar Mein Mujh Ko Woh Junoon Nazar Na AyaKe Sikha Sake Khird Ko Reh-o-Rasm-e-Kaar-Sazi
Na Juda Rahe Nawa Gar Tab-o-Taab-e-Zindagi SeKe Halaki-e-Umam Hai Ye Tareeq-e-Ne Nawazi