Jahan-e-Taza Ki Afkar-e-Taza Se Hai NamoodKe Sang-o-Khisht Se Hote Nahin Jahan Paida
Khudi Mein Doobne Walon Ke Azam-o-Himmat NeIss Aabjoo Se Kiye Behar-e-Bekaran Paida
Wohi Zamane Ki Gardish Pe Ghalib Ata HaiJohar Nafs Se Kare Umar-e-Javidan Paida
Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon MeinHuwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida
Hawaye Dasht Se Booye Rafaqat Ati HaiAjab Nahin Ke Hon Mere Hum Anan Paida