رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مسجد قوت الاسلام

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

Hai Mere Seena Be-Noor Nein Ab Kya BaqiLa Ilaha ’ Murda-o-Afsurda-o-Be-Zauq-e-Namood
Chashme-e-Fitrat Bhi Na Pehchan Sake Gi Mujh KoKe Ayazi Se Digargoon Hai Maqam-e-Mehmood
Kyun Musalman Na Khajal Ho Teri Sangeeni SeKe Ghulami Se Huwa Misl-e-Zujaj Iss Ka Wujood
Hai Teri Shan Ke Shayan Ussi Momin Ki NamazJis Ki Takbeer Mein Ho Maarka-e-Bood-o-Nuboo
Ab Kahan Mere Nafs Mein Woh Hararat, Woh GudazBe Tab-o-Taab-e-Duroon Meri Salat Aur Durood
Hai Meri Bang-e-Azan Mein Na Bulandi, Na ShikwaKya Gawara Hai Tujhe Aese Musalman Ka Sujood