کارل مارکس کي آواز
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 3 sher · Roman Urdu ke saath
Ye Ilm-o-Hikmat Ki Muhra-Bazi, Ye Behas-o-Takrar Ki NamaeshNahin Hai Dunya Ko Ab Gawara Purane Afkaar Ki Namaesh
Teri Kitabon Mein Ae Hakeem-e-Maash Rakha Hi Kya Hai AkhirKhatoot-e-Khamdar Ki Namaesh, Maraiz-o-Kajdar Ki Namaesh
Jahan-e-Maghrib Ke Butkudon Mein Kaleesaon Mein, Madrason MeinHawas Ki Khoon Raiziyan Chupati Hai Aqal-e-Ayyar Ki Namaesh