Huwa Hai Band-e-Momin Fusooni-e-AfrangIssi Sabab Se Qalandar Ki Ankh Hai Namnaak
Tere Buland Munasib Ki Khair Ho, Ya Rab!!Ke In Ke Waste Tu Ne Kiya Khudi Ko Halak
Magar Ye Baat Chupaye Se Chup Nahin SaktiSamajh Gyi Hai Isse Har Tabiat-e-Chalak
Shareek-e-Hukm Ghulamon Ko Kar Nahin SakteKhareedte Hain Faqt Un Ka Johar-e-Idraak