Shayar Bhi Hain Paida, Ulma Bhi, Hukma BhiKhali Nahin Qoumon Ki Ghulami Ka Zamana
Maqsad Hai In Allah Ke Bandon Ka Magar AikHar Aik Hai Go Sharah-e-Maani Mein Yagana
'Behtar Hai Ke Sheron Ko Sikha Dain Ram-e-AahuBaqi Na Rahe Sher Ki Sheri Ka Fasana'
Karte Hain Ghulamon Ko Ghulami Pe RazamandTaveel-e-Masael Ko Banate Hain Bahana