رومي بدلے ، شامي بدلے، بدلا ہندستان
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath
Rumi Badle, Shaami Badle, Badla HindustanTu Bhi Ae Farzand-e-Kuhastan! Apni Khudi Pehchan
Mousam Acha, Pani Wafir, Mitti Bhi ZarkhiazJis Ne Apna Khait Na Seencha, Woh Kaisa Dehqan
Unchi Jis Ki Lehr Hai, Woh Kaisa DaryaJis Ki Hawaen Tund Nahin Hain, Woh Kaisa Toofan
Dhoond Ke Apni Khaak Mein Jis Ne Paya Apna AapUss Bande Ki Dehqani Par Sultani Qurban
Teri Be-Ilmi Ne Rakh Li Be-Ilmon Ki LaajAlim Fazil Baich Rahe Hain Apna Deen Imaan