وہي جواں ہے قبيلے کي آنکھ کا تارا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Wohi Jawan Hai Qabeele Ki Ankh Ka TaraShabaab Jis Ka Hai Be-Dagh, Zarb Hai Kari
Agar Ho Jang To Sheran-e-Ghab Se Barh KarAgar Ho Sulah To Raana Ghazaal-e-Tatari
Ajab Nahin Hai Agar Iss Ka Souz Hai Hama SouzKe Neestan Ke Liye Bas Hai Aik Chingari
Khuda Ne Iss Ko Diya Hai Shikoh-e-SultaniKe Iss Ke Faqr Mein Hai Haidari-o-Karrari
Nigah-e-Kam Se Na Dekh Iss Ki Be Kulahi KoYe Be-Kulah Hai Sarmaya-e-Kulah-Dari