نگاہ وہ نہيں جو سرخ و زرد پہچانے
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Nigah Woh Nahin Jo Surkh-o-Zard PehchaneNigah Woh Hai Ke Mouhtaj-e-Mehr-o-Mah Nahin
Farang Se Bohat Aage Hai Manzil-e-MominQadam Utha! Ye Maqam Intahaye Rah Nahin
Khule Hain Sub Ke Liye Ghareebon Ke MaikhaneUloom-e-Taza Ki Sarmastiyan Gunah Nahin
Issi Suroor Mein Poshida Mout Bhi Hai TeriTere Badan Men Agar Souz-e-‘La Ilah’ Nahin
Sunain Ge Meri Sada Khanzadgan-e-Kabeer?Gileem Posh Hon Main Sahib-e-Kulah Nahin!