فطرت کے مقاصد کي کرتا ہے نگہباني
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai NigehbaniYa Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani
Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar KaHai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani
Ye Husn-o-Latafat Kyun, Woh Quwwat-o-Shoukat KyunBulbul Chamanistani, Shahbaz Byabani !
Ae Sheikh! Bohat Achi Maktab Ki Faza, LekinBanti Hai Byaban Mein Farooqi-o-Salmani
Sadiyon Mein Kahin Paida Hota Hai Hareef Uss KaTalwar Hai Taizi Mein Sehbaye Musalmani!