دل بيدار فاروقي ، دل بيدار کراري
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Dil Baidar Farooqi, Dil Baidar KarariMis-E-Adam Ke Haq Mein Keemiya Hai Dil Ki Baidari
Dil-E-Baidar Paida Kar K Dil Khawabida Hai Jab TakNa Teri Zarb Hai Kari, Na Meri Zarb Hai Kari
Mashaam-E-Taiz Se Milta Hai Sehra Mein Nishan Iss KaZan-O-Takhmeen Se Haath Ata Nahin Ahoo’ay Tatari
Iss Andeshe Se Zabt-E-Aah Main Karta Rahon Kab TakK Munaa Zade Na Le Jaen Teri Qismat Ki Changari
Khudawanda Ye Tere Sada Dil Bande Kidhar JaenKe Darvaishi Bhi Ayyari Hai, Sultani Bhi Ayyari
Mujhe Tehzeeb-E-Hazir Ne Ata Ki Hai Vi AzadiK Zahir Mein To Azadi Hai, Batin Mein Giraftari
Tu Ae MOLA’AY YASRAB (S.A.W.) ! Ap Meri Chara-Sazi KarMeri Danish Hai Afrangi, Mera Iman Hai Zunnari