رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تري نگاہ فرومايہ ، ہاتھ ہے کوتاہ

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Teri Nigah Firomaya, Hath Hai KotahTera Gunah Ke Nakheel-e-Buland Ka Hai Gunah
Gala To Ghoont Diya Ahl-e-Madrasa Ne TeraKahan Se Aye Sada ‘LA ILAHA ILLALLAH’
Khudi Mein Gum Hai Khudai, Talash Kar Ghafil!Yehi Hai Tere Liye Ab Salah-e-Kaar Ki Rah
Hadees-e-Dil Kisi Darvaish-e-Be-Gileem Se PuchKhuda Kare Tujhe Tere Maqam Se Aagah
Barahna Sar Hai Tu Azam-e-Buland Paida KarYahan Faqt Sar-e-Shaheen Ke Waste Hai Kulah
Na Rahe Sitare Ki Gardish Na Bazi-e-AflakKhudi Ki Mout Hai Tera Zawal-e-Naimat-o-Jah
Utha Main Madrasa-o-Khanqah Se GhamnaakNa Zindagi, Na Mohabbat, Na Maarifat, Na Nigah!