نگاہ فقر ميں شان سکندري کيا ہے
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya HaiKharaj Ki Jo Gada Ho, Woh Qaisri Kya Hai!
Buton Se Tujh Ko Umeedain, Khuda Se NaumeediMujhe Bata To Sahi Aur Kafiri Kya Hai!
Falak Ne Un Ko Atta Ki Hai Khawajgi Ke JinhainKhabar Nahin Rawish-e-Banda Parwari Kya Hai
Faqt Nigah Se Hota Hai Faisla Dil KaNa Ho Nigah Mein Shaukhi To Dilbari Kya Hai
Issi Khata Se Itaab-e-Mulook Hai Mujh ParKe Janta Hun Maal-e-Sikandari Kya Hai
Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, LekinKhudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai!
Khush Aa Gyi Hai Jahan Ko Qalandari MeriWagarna Shair Mera Kya Hai, Shayari Kya Hai!