رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نہ تو زميں کے ليے ہے نہ آسماں کے ليے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat KeWoh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neetan Ke Liye
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye ChamanNa Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiyan Ke Liye
Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab TakTera Safina Ke Hai Behar-e-Bekaran Ke Liye!
Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron KoTaras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daan Ke Liye
Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan PursouzYehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwan Ke Liye
Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne IsseBarha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dastan Ke Liye
Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel AshobSanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Makan Ke Liye