رمزِ زندگیRamz E Zindagi

افلاک سے آتا ہے نالوں کا جواب آخر

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Aflak Se Ata Hai Nalon Ka Jawab AkhirKarte Hain Khitab Akhir, Uthte Hain Hijab Akhir
Ahwal-e-Mohabbat Mein Kuch Farq Nahin AesaSouz-o-Tab-o-Taab Awwal, Souz-o-Tab-o-Taab Akhi
Main Tujh Ko Batata Hun, Taqdeer-e-Umam Kya HaiShamsheer-o-Sanaa Awwal, Taoos-o-Rabab Akhir
Maikhane-e-Yourap Ke Dastoor Nirale HainLate Hain Suroor Awwal, Dete Hain Sharab Akhir
Kya Dabdaba-e-Nadir, Kya Shaukat-e-TaimooriHi Jate Hain Sub Daftar Gharq Mai-e-Naab Akhir
Khalwat Ki Ghari Guzri, Jalwat Ki Ghari AyiChutne Ko Hai Bijle Se Agosh-e-Sahaab Akhir
Tha Zabt Bohat Mushkil Iss Seel-e-Maani KaKeh Dale Qalandar Ne Asrar-e-Kitab Akhir