نہ ہو طغيان مشتاقي تو ميں رہتا نہيں باقي
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin BaqiKe Meri Zindagi Kya Hai, Yehi Tughyan-e-Mushtaqi
Mujhe Fitrat Nawa Par Pe-Ba-Pe Majboor Karti HaiAbhi Mehfil Mein Hai, Shaid Koi Dard Ashna Baqi
Woh Atish Aaj Bhi Tera Nasheman Phook Sakti HaiTalab Sadiq Na Ho Teri To Phir Kya Shikwa-e-Saqi !
Na Kar Afrang Ka Andaza Iss Ki Tabnaki SeKe Bijli Ke Charaghon Se Hai Iss Jouhar Ki Barraqi
Dilon Mein Walwale Afaaq Geeri Ke Nahin UthteNigahon Mein Agar Paida Na Huwa Andaz-e-Afaqi
Khazan Mein Bhi Kab Aa Sakta Tha Main Sayyaad Ki Zad MeinMeri Ghammaz Thi Shakh-e-Nasheeman Ki Kam-Auraqi
Ulat Jaen Gi Tadbeerain, Badal Jaen Gi TaqdeerainHaqiqat Hai, Nahin Mere Takhayyul Ki Ye Khallaqi