رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہوا نہ زور سے اس کے کوئي گريباں چاک

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Huwa Na Zor Se Uss Ke Koi Greban ChaakAgarcha Maghribiyon Ka Junoon Bhi Tha Chalaak
Mai-e-Yaqeen Se Zameer-e-Hayat Hai PursouzNaseeb-e-Madrasa Ya Rab Ye Aab-e-Atish Naak
Urooj-e-Adam-e-Khaki Ke Mutazir Hain TamamYe Kehkashan, Ye Sitare, Ye Neelgoon aflaak
Yehi Zamana-e-Hazir Ki Kainat Hai KyaDamagh Roshan-o-Dil Teerah-o-Nigah Bebaak
Tu Be-Basar Ho To Ye Mana’ay Nigah Bhi HaiWagarna Aag Hai Momin, Jahan Khs-o-Khashak
Zamana Aqal Ko Samjha Huwa Hai Mashal-e-RahKise Khabar Ke Junoon Bhi Hai Sahib-e-Idraak
oon Jahan Tamam Hai Meeras Mard-e-Momin KiMere Kalam Pe Hujjat Hai Nukta-e-Loulaak