نہ تخت و تاج ميں ، نے لشکر و سپاہ ميں ہے
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Na Takht-o-Taaj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein HaiJo Baat Mard-e-Qalandar Ki Bargah Mein Hai
Sanam Kadah Hai Jahan Aur Mard-e-Haq Hai KhalilYe Nukta Woh Hai Ke Poshida LA ILAHA Mein Hai
Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare PaidaYe Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai
Mah-o-Sitara Se Agay Maqam Hai Jis KaWoh Musht-e-Khak Abhi Awargan-e-Rah Mein Hai
Khabar Mili Hai Khudayan-e-Behar-o-Bar Se MujheFarang Reh-Guzar-e-Seel-e-Be Panah Mein Hai
Talash Uss Ki Fazaon Mein Kar Naseeb ApnaJahan-e-Taza Meri Aah-e-Subahgah Mein Hai
Mere Kidu Ko Ghanimat Samajh Ke Bada-e-NaabNa Madrase Mein Hai, Baqi Na Khanqah Mein Hai