رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آدمی آدمی سے ملتا ہے

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

aadmī aadmī se miltā haidil magar kam kisī se miltā hai
bhuul jaatā huuñ maiñ sitam us kevo kuchh is sādgī se miltā hai
aaj kyā baat hai ki phūloñ kārañg terī hañsī se miltā hai
silsila fitna-e-qayāmat kāterī ḳhush-qāmatī se miltā hai
mil ke bhī jo kabhī nahīñ miltāTuuT kar dil usī se miltā hai
kārobār-e-jahāñ sañvarte haiñhosh jab be-ḳhudī se miltā hai
ruuh ko bhī mazā mohabbat kādil kī ham-sā.egī se miltā hai