کبھی شاخ و سبزہ و برگ پر کبھی غنچہ و گل و خار پر
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath
kabhī shāḳh o sabza o barg par kabhī ġhuncha o gul o ḳhaar parmaiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ mirā haq hai fasl-e-bahār par
mujhe deñ na ġhaiz meñ dhamkiyāñ gireñ laakh baar ye bijliyāñmirī saltanat ye hī āshiyāñ mirī milkiyat ye hī chaar par
jinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār par
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār haimirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
ajab inqilāb-e-zamāna hai mirā muḳhtasar sā fasāna haiyahī ab jo baar hai dosh par yahī sar thā zānu-e-yār par
ye kamāl-e-ishq kī sāzisheñ ye jamāl-e-husn kī nāzisheñye ināyateñ ye navāzisheñ mirī ek musht-e-ġhubār par
mirī samt se use ai sabā ye payām-e-āḳhir-e-ġham sunāabhī dekhnā ho to dekh jā ki ḳhizāñ hai apnī bahār par
ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-ḳhabarkahīñ jam na jaa.e tirī nazar inhīñ chand naqsh o nigār par
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar'ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par