رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کثرت میں بھی وحدت کا تماشا نظر آیا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 9 sher · Roman Urdu ke saath

kasrat meñ bhī vahdat kā tamāshā nazar aayājis rañg meñ dekhā tujhe yaktā nazar aayā
jab us ruḳh-e-pur-nūr kā jalva nazar aayāka.aba nazar aayā na kalīsā nazar aayā
ye husn ye shoḳhī ye karishma ye adā.eñduniyā nazar aa.ī mujhe to kyā nazar aayā
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauqāñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
jab dekh na sakte the to dariyā bhī thā qatrajab aañkh khulī qatra bhī dariyā nazar aayā
qurbān tirī shān-e-ināyat ke dil o jaañis kam-nigahī par mujhe kyā kyā nazar aayā
har rañg tire rañg meñ Duubā huā niklāhar naqsh tirā naqsh-e-kaf-e-pā nazar aayā
āñkhoñ ne dikhā dī jo tire ġham kī haqīqataalam mujhe saarā tah-o-bālā nazar aayā
har jalve ko dekhā tire jalvoñ se munavvarhar bazm meñ tū anjuman-ārā nazar aayā