کیا برابر کا محبت میں اثر ہوتا ہے
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath
kyā barābar kā mohabbat meñ asar hotā haidil idhar hotā hai zālim na udhar hotā hai
ham ne kyā kuchh na kiyā dīda-e-dil kī ḳhātirlog kahte haiñ duāoñ meñ asar hotā hai
dil to yuuñ dil se milāyā ki na rakkhā merāab nazar ke liye kyā hukm-e-nazar hotā hai
maiñ gunahgār-e-junūñ maiñ ne ye maanā lekinkuchh udhar se bhī taqāzā-e-nazar hotā hai
kaun dekhe use betāb-e-mohabbat ai diltū vo naale hī na kar jin meñ asar hotā hai