رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یادش بخیر جب وہ تصور میں آ گیا

Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

yādash-ba-ḳhair jab vo tasavvur meñ aa gayāsher o shabāb o husn kā dariyā bahā gayā
jab ishq apne markaz-e-aslī pe aa gayāḳhud ban gayā hasīn do aalam pe chhā gayā
jo dil kā raaz thā use kuchh dil hī pā gayāvo kar sake bayāñ na hamīñ se kahā gayā
nāseh fasāna apnā hañsī meñ uḌā gayāḳhush-fikr thā ki saaf ye pahlū bachā gayā
apnā zamāna aap banāte haiñ ahl-e-dilham vo nahīñ ki jin ko zamāna banā gayā
dil ban gayā nigāh nigah ban ga.ī zabāñaaj ik sukūt-e-shauq qayāmat hī Dhā gayā
merā kamāl-e-sher bas itnā hai ai 'jigar'vo mujh pe chhā ga.e maiñ zamāne pe chhā gayā