اللہ اگر توفیق نہ دے انسان کے بس کا کام نہیں
Ghazal · Jigar Moradabadi · جگر مرادآبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath
allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñfaizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ
ye tū ne kahā kyā ai nādāñ fayyāzī-e-qudrat aam nahīñtū fikr o nazar to paidā kar kyā chiiz hai jo in.aam nahīñ
yā-rab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñtaskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ
kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñāvāz-e-shikast-e-dil hī to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aaai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
zāhid ne kuchh is andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñmai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ
ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnīdil kī bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ
sab jis ko asīrī kahte haiñ vo to hai amīrī hī lekinvo kaun sī āzādī hai yahāñ jo aap ḳhud apnā daam nahīñ