آوے گی میری قبر سے آواز میرے بعد
Ghazal · Mir Taqi Mir · میر تقی میر · 7 sher · Roman Urdu ke saath
āvegī merī qabr se āvāz mere ba.adubhreñge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad
jiinā mirā to tujh ko ġhanīmat hai nā-samajhkhīñgā kaun phir ye tire naaz mere ba.ad
sham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirāhar shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.ad
hasrat hai is ke dekhne kī dil meñ be-qayāsaġhlab ki merī āñkheñ raheñ baaz mere ba.ad
kartā huuñ maiñ jo naale sar-anjām baaġh meñmuñh dekho phir kareñge ham āvāz mere ba.ad
bin gul muā hī maiñ to pa tū jā ke lauTiyosehn-e-chaman meñ ai par-e-parvāz mere ba.ad
baiThā huuñ 'mīr' marne ko apne meñ musta.idpaidā na hoñge mujh se bhī jāñbāz mere ba.ad