رمزِ زندگیRamz E Zindagi

یہ ہوا مآل حباب کا جو ہوا میں بھر کے ابھر گیا

Nazm · Nazm Tabatabai · نظم طباطبائی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

ye huā ma.aal hubāb kā jo havā meñ bhar ke ubhar gayāki sadā hai lutma-e-mauj kī sar-e-pur-ġhurūr kidhar gayā
mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhā qadam koīmujhe par lagā.e shauq ne kahīñ thak ke maiñ jo Thahar gayā
mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadarkoī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayā
asar us ke ishva-e-nāz kā jo huā vo kis se bayāñ karūñmujhe to ajal kī hai aarzū use vahm hai ki ye mar gayā
tujhe ai ḳhatīb-e-chaman nahīñ ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq meñki kitāb-e-gul kā varaq varaq tirī be-ḳhudī se bikhar gayā
kise tū sunātā hai ham-nashīñ ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-dīñtire kahne kā hai mujhe yaqīñ maiñ tire Darāne se Dar gayā
karūñ zikr kyā maiñ shabāb kā sune kaun qissa ye ḳhvāb kāye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayā
dil-e-nā-tavāñ ko takān ho mujhe us kī taab na thī zarāġham-e-intizār se bach gayā thā naved-e-vasl se mar gayā
mire sabr-o-tāb ke sāmne na hujūm-e-ḳhauf-o-rajā rahāvo chamak ke barq rah ga.ī vo garaj ke abr guzar gayā
mujhe bahr-e-ġham se ubuur kī nahīñ fikr ai mire chāra-garnahīñ koī chāra-kār ab mire sar se aab guzar gayā
mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiyemai-e-añgbīñ kā ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā
nahīñ ab jahān meñ dostī kabhī rāste meñ jo mil ga.enahīñ matlab ek ko ek se ye idhar chalā vo udhar gayā
agar aa ke ġhussa nahīñ rahā to lagī thī aag ki bujh ga.ījo hasad kā josh faro huā to ye zahr chaḌh ke utar gayā
tujhe 'nazm' vādi-e-shauq meñ abas ehtiyāt hai is qadarkahīñ girte girte sambhal gayā kahīñ chalte chalte Thahar gayā