رمزِ زندگیRamz E Zindagi

شراب شوق سیں سرشار ہیں ہم

Ghazal · Wali Dakani · ولی دکنی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

sharāb-e-shauq señ sarshār haiñ hamkabhū be-ḳhud kabhū hushiyār haiñ ham
do-rañgī suuñ tirī ai sarv-e-ra.anākabhū raazī kabhū bezār haiñ ham
tire tasḳhīr karne meñ sirījankabhī nādāñ kabhī ayyār haiñ ham
sanam tere nayan kī aarzū meñkabhū sālim kabhī bīmār haiñ ham
'valī' vasl-o-judā.ī suuñ sajan kīkabhū sahrā kabhū gulzār haiñ ham