رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہجر کے ہاتھ سے اب خاک پڑے جینے میں

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 5 sher · Roman Urdu ke saath

hijr ke haath se ab ḳhaak paḌe jiine meñdard ik aur uThā aah nayā siine meñ
ḳhūn-e-dil piine se jo kuchh hai halāvat ham koye mazā aur kisī ko nahīñ mai piine meñ
dil ko kis shakl se apne na musaffā rakkhūñjalva-gar yaar kī sūrat hai is ā.īne meñ
ashk o laḳht-e-jigar āñkhoñ meñ nahīñ haiñ merehaiñ bhare laal o guhar ishq ke ganjīne meñ
shakl-e-ā.īna 'zafar' se to na rakh dil meñ ḳhayālkuchh mazā bhī hai bhalā jaan mirī lene meñ