رمزِ زندگیRamz E Zindagi

کریں گے قصد ہم جس دم تمہارے گھر میں آویں گے

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 8 sher · Roman Urdu ke saath

kareñge qasd ham jis dam tumhāre ghar meñ āveñgejo hogī umr bhar kī raah to dam bhar meñ āveñge
agar hāthoñ se us shīrīñ-adā ke zab.h hoñge hamto sharbat ke se ghūñT āb-e-dam-e-ḳhanjar meñ āveñge
yahī gar josh-e-girya hai to bah kar saath ashkoñ kehazāroñ pāra-e-dil mere chashm-e-tar meñ āveñge
gar is qaid-e-balā se ab kī chhūTeñge to phir hargizna ham dām-e-fareb-e-shoḳh-e-ġhārat-gar meñ āveñge
na jaate garche mar jaate jo ham mālūm kar jaateki itnā tañg jā kar kūcha-e-dilbar meñ āveñge
garebāñ-chāk lākhoñ haath se us mehr-e-tal.at keba-rañg-e-sub.h-e-mahshar arsa-e-mahshar meñ āveñge
jo sargardānī apnī tere dīvāne dikhā.eñgeto phir kyā kyā bagūle dasht ke chakkar meñ āveñge
'zafar' apnā karishma gar dikhāyā chashm-e-sāqī netamāshe jām-e-jam ke sab nazar sāġhar meñ āveñge