رمزِ زندگیRamz E Zindagi

بھری ہے دل میں جو حسرت کہوں تو کس سے کہوں

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñsune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
jo tū ho saaf to kuchh maiñ bhī saaf tujh se kahūñtire hai dil meñ kudūrat kahūñ to kis se kahūñ
na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdardmaiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ
dil us ko aap diyā aap hī pashemāñ huuñki sach hai apnī nadāmat kahūñ to kis se kahūñ
kahūñ maiñ jis se use hove sunte hī vahshatphir apnā qissa-e-vahshat kahūñ to kis se kahūñ
rahā hai tū hī to ġham-ḳhvār ai dil-e-ġham-ghīñtire sivā ġham-e-furqat kahūñ to kis se kahūñ
jo dost ho to kahūñ tujh se dostī kī baattujhe to mujh se adāvat kahūñ to kis se kahūñ
na mujh ko kahne kī tāqat kahūñ to kyā ahvālna us ko sunñe kī fursat kahūñ to kis se kahūñ
kisī ko dekhtā itnā nahīñ haqīqat meñ'zafar' maiñ apnī haqīqat kahūñ to kis se kahūñ