رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہم یہ تو نہیں کہتے کہ غم کہہ نہیں سکتے

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

ham ye to nahīñ kahte ki ġham kah nahīñ saktepar jo sabab-e-ġhum hai vo ham kah nahīñ sakte
ham dekhte haiñ tum meñ ḳhudā jaane buto kyāis bhed ko allāh kī qasam kah nahīñ sakte
rusvā-e-jahāñ kartā hai ro ro ke hameñ tūham tujhe kuchh ai dīda-e-nam kah nahīñ sakte
kyā pūchhtā hai ham se tū ai shoḳh sitamgarjo tū ne kiye ham pe sitam kah nahīñ sakte
hai sabr jinheñ talḳh-kalāmī ko tumhārīsharbat hī batāte haiñ sam kah nahīñ sakte
jab kahte haiñ kuchh baat rukāvaT kī tire hamruk jaatā hai ye siine meñ dam kah nahīñ sakte
allāh re tirā ro.ab ki ahvāl-e-dil apnāde dete haiñ ham kar ke raqam kah nahīñ sakte
tubā-e-bahishtī hai tumhārā qad-e-ra.anāham kyūñkar kaheñ sarv-e-iram kah nahīñ sakte
jo ham pe shab-e-hijr meñ us māh-e-laqā keguzre haiñ 'zafar' rañj o alam kah nahīñ sakte