پوچھا اکبر ہے آدمی کیساہنس کے بولے وہ آدمی ہی نہیںpūchhā 'akbar' hai aadmī kaisāhañs ke bole vo aadmī hī nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
چرخ سے کچھ امید تھی ہی نہیںآرزو میں نے کوئی کی ہی نہیںcharḳh se kuchh umiid thī hī nahīñaarzū maiñ ne koī kī hī nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
مذہبی بحث میں نے کی ہی نہیںفالتو عقل مجھ میں تھی ہی نہیںmaz.habī bahas maiñ ne kī hī nahīñfāltū aql mujh meñ thī hī nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
چاہتا تھا بہت سی باتوں کومگر افسوس اب وہ جی ہی نہیںchāhtā thā bahut sī bātoñ komagar afsos ab vo jī hī nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
جرأت عرض حال کیا ہوتینظر لطف اس نے کی ہی نہیںjur.at-e-arz-e-hāl kyā hotīnazar-e-lutf us ne kī hī nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi