چرخ سے کچھ امید تھی ہی نہیں
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath
charḳh se kuchh umiid thī hī nahīñaarzū maiñ ne koī kī hī nahīñ
maz.habī bahas maiñ ne kī hī nahīñfāltū aql mujh meñ thī hī nahīñ
chāhtā thā bahut sī bātoñ komagar afsos ab vo jī hī nahīñ
jur.at-e-arz-e-hāl kyā hotīnazar-e-lutf us ne kī hī nahīñ
is musībat meñ dil se kyā kahtākoī aisī misāl thī hī nahīñ
aap kyā jāneñ qadr-e-yā-allāhjab musībat koī paḌī hī nahīñ
shirk chhoḌā to sab ne chhoḌ diyāmerī koī society hī nahīñ
pūchhā 'akbar' hai aadmī kaisāhañs ke bole vo aadmī hī nahīñ