اسد بسمل ہے کس انداز کا قاتل سے کہتا ہےکہ مشق ناز کر خون دو عالم میری گردن پر'asad' bismil hai kis andāz kā qātil se kahtā haiki mashq-e-nāz kar ḳhūn-e-do-ālam merī gardan parHusnمرزا غالبMirza Ghalib
جنوں کی دستگیری کس سے ہو گر ہو نہ عریانیگریباں چاک کا حق ہو گیا ہے میری گردن پرjunūñ kī dast-gīrī kis se ho gar ho na uryānīgarebāñ-chāk kā haq ho gayā hai merī gardan parمرزا غالبMirza Ghalib
بہ رنگ کاغذ آتش زدہ نیرنگ بیتابیہزار آئینہ دل باندھے ہے بال یک تپیدن پرba-rañg-e-kāġhaz-e-ātish-zada nairañg-e-betābīhazār ā.īna dil bāñdhe hai bāl-e-yak-tapīdan parمرزا غالبMirza Ghalib
فلک سے ہم کو عیش رفتہ کا کیا کیا تقاضا ہےمتاع بردہ کو سمجھے ہوئے ہیں قرض رہزن پرfalak se ham ko aish-e-rafta kā kyā kyā taqāzā haimatā-e-burda ko samjhe hue haiñ qarz rahzan parمرزا غالبMirza Ghalib
ہم اور وہ بے سبب رنج آشنا دشمن کہ رکھتا ہےشعاع مہر سے تہمت نگہ کی چشم روزن پرham aur vo be-sabab rañj-āshnā dushman ki rakhtā haishuā-e-mehr se tohmat nigah kī chashm-e-rauzan parمرزا غالبMirza Ghalib
رہا بلا میں بھی میں مبتلائے آفت رشکبلائے جاں ہے ادا تیری اک جہاں کے لیےrahā balā meñ bhī maiñ mubtala-e-āfat-e-rashkbalā-e-jāñ hai adā terī ik jahāñ ke liyeمرزا غالبMirza Ghalib
نگاہیں تاک میں رہتی تھیں لیکن کیمیاگر کیوہ اس نسخے کو بڑھ کر جانتا تھا اسم اعظم سےNigahain Taak Mein Rehti Then Lekin Keemiya-Gar KiWoh Iss Nuskhe Ko Barh Kar Janta Tha Ism-e-Azam Seعلامہ اقبالAllama Iqbal