جنوں کی دستگیری کس سے ہو گر ہو نہ عریانی
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
junūñ kī dast-gīrī kis se ho gar ho na uryānīgarebāñ-chāk kā haq ho gayā hai merī gardan par
ba-rañg-e-kāġhaz-e-ātish-zada nairañg-e-betābīhazār ā.īna dil bāñdhe hai bāl-e-yak-tapīdan par
falak se ham ko aish-e-rafta kā kyā kyā taqāzā haimatā-e-burda ko samjhe hue haiñ qarz rahzan par
ham aur vo be-sabab rañj-āshnā dushman ki rakhtā haishuā-e-mehr se tohmat nigah kī chashm-e-rauzan par
fanā ko sauñp gar mushtāq hai apnī haqīqat kāfaroġh-e-tāla-e-ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
'asad' bismil hai kis andāz kā qātil se kahtā haiki mashq-e-nāz kar ḳhūn-e-do-ālam merī gardan par
fusūn-e-yak-dilī hai lazzat-e-bedād dushman parki vajd-e-barq juuñ parvāna bāl-afshāñ hai ḳhirman par
takalluf ḳhār-ḳhār-e-iltimās-e-be-qarārī haiki rishta bāñdhtā hai pairahan añgusht-e-sozan par
ye kyā vahshat hai ai dīvāne pesh-az-marg vāvailārakkhī be-jā binā-e-ḳhāna-e-zanjīr-e-shevan par