غم دنیا سے گر پائی بھی فرصت سر اٹھانے کیفلک کا دیکھنا تقریب تیرے یاد آنے کیġham-e-duniyā se gar paa.ī bhī fursat sar uThāne kīfalak kā dekhnā taqrīb tere yaad aane kīGhamYaadDuniyaمرزا غالبMirza Ghalib
کھلے گا کس طرح مضموں مرے مکتوب کا یاربقسم کھائی ہے اس کافر نے کاغذ کے جلانے کیkhulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā-rabqasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kīمرزا غالبMirza Ghalib
لپٹنا پرنیاں میں شعلۂ آتش کا پنہاں ہےولے مشکل ہے حکمت دل میں سوز غم چھپانے کیlipaTnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā pinhāñ haivale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kīمرزا غالبMirza Ghalib
انہیں منظور اپنے زخمیوں کا دیکھ آنا تھااٹھے تھے سیر گل کو دیکھنا شوخی بہانے کیunheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh aanā thāuThe the sair-e-gul ko dekhnā shoḳhī bahāne kīمرزا غالبMirza Ghalib
ہماری سادگی تھی التفات ناز پر مرناترا آنا نہ تھا ظالم مگر تمہید جانے کیhamārī sādgī thī iltifāt-e-nāz par marnātirā aanā na thā zālim magar tamhīd jaane kīمرزا غالبMirza Ghalib
دل گیا رونق حیات گئیغم گیا ساری کائنات گئیdil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.īجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
بن ترے اے بت خود کام یہ دل کو ہے خطرتیرے عاشق کا تمام آہ کہیں کام نہ ہوbin tire ai but-e-ḳhud-kām ye dil ko hai ḳhatartere āshiq kā tamām aah kahīñ kaam na hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جلوہ دکھا رہا ہے وہ آئینۂ جمالآتی ہے ہم کو شرم کہ کیا منہ دکھائیں ہمjalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ hamداغؔ دہلویDagh Dehlvi
قامت سے تیرے صانع قدرت نے اے حسیںدکھلا دیا ہے حشر کو سانچے میں ڈھال کےqāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi