پرسش طرز دلبری کیجیے کیا کہ بن کہےاس کے ہر ایک اشارہ سے نکلے ہے یہ ادا کہ یوںpursish-e-tarz-e-dilbarī kījiye kyā ki bin kaheus ke har ek ishāre se nikle hai ye adā ki yuuñHusnمرزا غالبMirza Ghalib
غنچۂ ناشگفتہ کو دور سے مت دکھا کہ یوںبوسہ کو پوچھتا ہوں میں منہ سے مجھے بتا کہ یوںġhuncha-e-nā-shagufta ko duur se mat dikhā ki yuuñbose ko pūchhtā huuñ maiñ muñh se mujhe batā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
رات کے وقت مے پیے ساتھ رقیب کو لیےآئے وہ یاں خدا کرے پر نہ کرے خدا کہ یوںraat ke vaqt mai piye saath raqīb ko liyeaa.e vo yaañ ḳhudā kare par na kare ḳhudā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
غیر سے رات کیا بنی یہ جو کہا تو دیکھیےسامنے آن بیٹھنا اور یہ دیکھنا کہ یوںġhair se raat kyā banī ye jo kahā to dekhiyesāmne aan baiThnā aur ye dekhnā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib
بزم میں اس کے روبرو کیوں نہ خموش بیٹھیےاس کی تو خامشی میں بھی ہے یہی مدعا کہ یوںbazm meñ us ke rū-ba-rū kyuuñ na ḳhamosh baiThiyeus kī to ḳhāmushī meñ bhī hai yahī mudda.ā ki yuuñمرزا غالبMirza Ghalib