مسلماں کے لہو میں ہے سلیقہ دل نوازی کامروت حسن عالم گیر ہے مردان غازی کاmusalmāñ ke lahū meñ hai salīqa dil-navāzī kāmuravvat husn-e-ālam-gīr hai mardān-e-ġhāzī kāHusnعلامہ اقبالAllama Iqbal
شکایت ہے مجھے یا رب خداوندان مکتب سےسبق شاہیں بچوں کو دے رہے ہیں خاک بازی کاshikāyat hai mujhe yā rab ḳhudāvañdān-e-maktab sesabaq shāhīñ bachchoñ ko de rahe haiñ ḳhāk-bāzī kāعلامہ اقبالAllama Iqbal
بہت مدت کے نخچیروں کا انداز نگہ بدلاکہ میں نے فاش کر ڈالا طریقہ شاہبازی کاbahut muddat ke naḳhchīroñ kā andāz-e-nigah badlāki maiñ ne faash kar Daalā tarīqa shāh-bāzī kāعلامہ اقبالAllama Iqbal
قلندر جز دو حرف لا الہ کچھ بھی نہیں رکھتافقیہ شہر قاروں ہے لغت ہائے حجازی کاqalandar juz do harf-e-lā-ilāh kuchh bhī nahīñ rakhtāfaqīh-e-shahr qārūñ hai luġhat-hā-e-hijāzī kāعلامہ اقبالAllama Iqbal
حدیث بادہ و مینا و جام آتی نہیں مجھ کونہ کر خاراشگافوں سے تقاضا شیشہ سازی کاhadīs-e-bāda-o-mīnā-o-jām aatī nahīñ mujh kona kar ḳhārā-shigāfoñ se taqāzā shīsha-sāzī kāعلامہ اقبالAllama Iqbal
اے حسن یار شرم یہ کیا انقلاب ہےتجھ سے زیادہ درد ترا کامیاب ہےai husn-e-yār sharm ye kyā inqalāb haitujh se ziyāda dard tirā kāmyāb haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
جا کے پہنچی ہے حد ظلمت کوںبسکہ تجھ زلف میں درازی ہےjā ke pahuñchī hai hadd-e-zulmat kuuñbas-ki tujh zulf meñ darāzī haiولی دکنیWali Dakani
ہے مرے شوخ کی بالیدہ وہ کافر آنکھیںجس کے ہم چشم ذرا نرگس بادام نہ ہوhai mire shoḳh kī bālīda vo kāfir āñkheñjis ke ham chashm zarā nargis-e-bādām na hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جلوہ دکھا رہا ہے وہ آئینۂ جمالآتی ہے ہم کو شرم کہ کیا منہ دکھائیں ہمjalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ hamداغؔ دہلویDagh Dehlvi