بتوں سے تجھ کو امیدیں خدا سے نومیدیمجھے بتا تو سہی اور کافری کیا ہےbutoñ se tujh ko umīdeñ ḳhudā se naumīdīmujhe batā to sahī aur kāfirī kyā haiUmeedKhudaعلامہ اقبالAllama Iqbal
نگاہ فقر میں شان سکندری کیا ہےخراج کی جو گدا ہو وہ قیصری کیا ہےnigāh-e-faqr meñ shān-e-sikandarī kyā haiḳhirāj kī jo gadā ho vo qaisarī kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
فلک نے ان کو عطا کی ہے خواجگی کہ جنہیںخبر نہیں روش بندہ پروری کیا ہےfalak ne un ko atā kī hai ḳhvājgī ki jinheñḳhabar nahīñ ravish-e-banda-parvarī kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
فقط نگاہ سے ہوتا ہے فیصلہ دل کانہ ہو نگاہ میں شوخی تو دلبری کیا ہےfaqat nigāh se hotā hai faisla dil kāna ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal
اسی خطا سے عتاب ملوک ہے مجھ پرکہ جانتا ہوں مآل سکندری کیا ہےisī ḳhatā se itāb-e-mulūk hai mujh parki jāntā huuñ ma.āl-e-sikandarī kyā haiعلامہ اقبالAllama Iqbal