رمزِ زندگیRamz E Zindagi

نگاہ فقر میں شان سکندری کیا ہے

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

nigāh-e-faqr meñ shān-e-sikandarī kyā haiḳhirāj kī jo gadā ho vo qaisarī kyā hai
butoñ se tujh ko umīdeñ ḳhudā se naumīdīmujhe batā to sahī aur kāfirī kyā hai
falak ne un ko atā kī hai ḳhvājgī ki jinheñḳhabar nahīñ ravish-e-banda-parvarī kyā hai
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kāna ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
isī ḳhatā se itāb-e-mulūk hai mujh parki jāntā huuñ ma.āl-e-sikandarī kyā hai
kise nahīñ hai tamannā-e-sarvarī lekinḳhudī kī maut ho jis meñ vo sarvarī kyā hai
ḳhush aa ga.ī hai jahāñ ko qalandarī merīvagarna sher mirā kyā hai shā.irī kyā hai