نہ دائم غم ہے نے عشرت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےتبدل یاں ہے ہر ساعت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےna daa.im ġham hai ne ishrat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haitabaddul yaañ hai har saa.at kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haiGhamبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گریباں چاک ہوں گاہے اڑاتا خاک ہوں گاہےلیے پھرتی مجھے وحشت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےgarebāñ-chāk huuñ gaahe uḌātā ḳhaak huuñ gaaheliye phirtī mujhe vahshat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ابھی ہیں وہ مرے ہم دم ابھی ہو جائیں گے دشمننہیں اک وضع پر صحبت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےabhī haiñ vo mire hamdam abhī ho jā.eñge dushmannahīñ ik vaz.a par sohbat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جو شکل شیشہ گریاں ہوں تو مثل جام خنداں ہوںیہی ہے یاں کی کیفیت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےjo shakl-e-shīsha giryāñ huuñ to misl-e-jām ḳhandāñ huuñyahī hai yaañ kī kaifiyyat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کسی وقت اشک ہیں جاری کسی وقت آہ اور زاریغرض حال غم فرقت کبھی یوں ہے کبھی ووں ہےkisī vaqt ashk haiñ jaarī kisī vaqt aah aur zaarīġharaz hāl-e-ġham-e-furqat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دل گیا رونق حیات گئیغم گیا ساری کائنات گئیdil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.īجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
بن ترے اے بت خود کام یہ دل کو ہے خطرتیرے عاشق کا تمام آہ کہیں کام نہ ہوbin tire ai but-e-ḳhud-kām ye dil ko hai ḳhatartere āshiq kā tamām aah kahīñ kaam na hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جلوہ دکھا رہا ہے وہ آئینۂ جمالآتی ہے ہم کو شرم کہ کیا منہ دکھائیں ہمjalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ hamداغؔ دہلویDagh Dehlvi
قامت سے تیرے صانع قدرت نے اے حسیںدکھلا دیا ہے حشر کو سانچے میں ڈھال کےqāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi