برائی یا بھلائی گو ہے اپنے واسطے لیکنکسی کو کیوں کہیں ہم بد کہ بد گوئی سے کیا حاصلburā.ī yā bhalā.ī go hai apne vāste lekinkisī ko kyuuñ kaheñ ham bad ki bad-gūī se kyā hāsilYaadبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ دو دشنام ہم کو اتنی بد خوئی سے کیا حاصلتمہیں دینا ہی ہوگا بوسہ خم روئی سے کیا حاصلna do dushnām ham ko itnī bad-ḳhūī se kyā hāsiltumheñ denā hī hogā bosa ḳham-rūī se kyā hāsilبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دل آزاری نے تیری کر دیا بالکل مجھے بیدلنہ کر اب میری دل جوئی کہ دل جوئی سے کیا حاصلdil-āzārī ne terī kar diyā bilkul mujhe be-dilna kar ab merī dil-jūī ki dil-jūī se kyā hāsilبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ جب تک چاک ہو دل پھانس کب دل کی نکلتی ہےجہاں ہو کام خنجر کا وہاں سوئی سے کیا حاصلna jab tak chaak ho dil phāñs kab dil kī nikaltī haijahāñ ho kaam ḳhanjar kā vahāñ suuī se kyā hāsilبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ کر فکر خضاب اے شیخ تو پیری میں جانے دےجواں ہونا نہیں ممکن سیہ روئی سے کیا حاصلna kar fikr-e-ḳhizāb ai shaiḳh tū piirī meñ jaane dejavāñ honā nahīñ mumkin siyah-rūī se kyā hāsilبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
تری زلفاں کی طولانی کوں دیکھےمجھے لیل زمستاں یاد آوےtirī zulfāñ kī tūlānī kuuñ dekhemujhe lail-e-zamistāñ yaad aaveولی دکنیWali Dakani
یاد میں ہے تیرے دم کی آمد و شد پر خیالبے خبر سب سے ہیں اس دم کی خبرداری میں ہمyaad meñ hai tere dam kī āmad-o-shud pur-ḳhayālbe-ḳhabar sab se haiñ is dam kī ḳhabardārī meñ hamبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
وہ تو بھولے تھے ہمیں ہم بھی انہیں بھول گئےایسا بدلا ہے نہ بدلے گا زمانہ ہرگزvo to bhūle the hameñ ham bhī unheñ bhuul ga.eaisā badlā hai na badlegā zamāna hargizالطاف حسین حالیAltaf Hussain Hali