دیں دے کے گیا کفر کے بھی کام سے عاشقتسبیح کے ساتھ اس نے تو زنار بھی چھوڑاdiiñ de ke gayā kufr ke bhī kaam se āshiqtasbīh ke saath us ne to zunnār bhī chhoḌāIshqبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہم نے تری خاطر سے دل زار بھی چھوڑاتو بھی نہ ہوا یار اور اک یار بھی چھوڑاham ne tirī ḳhātir se dil-e-zār bhī chhoḌātū bhī na huā yaar aur ik yaar bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیا ہوگا رفوگر سے رفو میرا گریباناے دست جنوں تو نے نہیں تار بھی چھوڑاkyā hogā rafūgar se rafū merā garebānai dast-e-junūñ tū ne nahīñ taar bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گوشہ میں تری چشم سیہ مست کے دل نےکی جب سے جگہ خانۂ خمار بھی چھوڑاgoshe meñ tirī chashm-e-siyah-mast ke dil nekī jab se jagah ḳhāna-e-ḳhummār bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اس سے ہے غریبوں کو تسلی کہ اجل نےمفلس کو جو مارا تو نہ زردار بھی چھوڑاis se hai ġharīboñ ko tasallī ki ajal nemuflis ko jo maarā to na zardār bhī chhoḌāبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اسد زندانی تاثیر الفت ہاۓ خوباں ہوںخم دست نوازش ہو گیا ہے طوق گردن میں'asad' zindāni-e-tāsīr-e-ulfat-hā-e-ḳhūbāñ huuñḳham-e-dast-e-navāzish ho gayā hai tauq gardan meñمرزا غالبMirza Ghalib
گاہ بحیلہ می برد ، گاہ بزور می کشدعشق کی ابتدا عجب ، عشق کی انتہا عجبGah Bahila Mee Burad, Gah Bazor Mee KusahIshq Ki Ibtada Ajab, Ishq Ki Intaha Ajabعلامہ اقبالAllama Iqbal