دل ہو خراب دین پہ جو کچھ اثر پڑے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 10 sher · Roman Urdu ke saath
dil ho ḳharāb diin pe jo kuchh asar paḌeab kār-e-āshiqī to bahar-kaif kar paḌe
ishq-e-butāñ kā diin pe jo kuchh asar paḌeab to nibāhnā hai jab ik kaam kar paḌe
maz.hab chhuḌāyā ishva-e-duniyā ne shaiḳh sedekhī jo rail uuñT se āḳhir utar paḌe
betābiyāñ nasīb na thiiñ varna ham-nashīñye kyā zarūr thā ki unhīñ par nazar paḌe
behtar yahī hai qasd udhar kā kareñ na voaisā na ho ki raah meñ dushman kā ghar paḌe
ham chāhte haiñ mel vajūd-o-adam meñ homumkin to hai jo beach meñ un kī kamar paḌe
daanā vahī hai dil jo kare aap kā ḳhayālbiinā vahī nazar hai ki jo aap par paḌe
honī na chāhiye thī mohabbat magar huīpaḌnā na chāhiye thā ġhazab meñ magar paḌe
shaitān kī na maan jo rāhat-nasīb hoallāh ko pukār musībat agar paḌe
ai shaiḳh un butoñ kī ye chālākiyāñ to dekhnikle agar haram se to 'akbar' ke ghar paḌe