رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ہر قدم کہتا ہے تو آیا ہے جانے کے لیے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 10 sher · Roman Urdu ke saath

har qadam kahtā hai tū aayā hai jaane ke liyemanzil-e-hastī nahīñ hai dil lagāne ke liye
kyā mujhe ḳhush aa.e ye hairat-sarā-e-be-sabāthosh uḌne ke liye hai jaan jaane ke liye
dil ne dekhā hai bisāt-e-quvvat-e-idrāk kokyā baḌhe is bazm meñ āñkheñ uThāne ke liye
ḳhuub ummīdeñ bañdhīñ lekin huiiñ hirmāñ nasībbadliyāñ uTThīñ magar bijlī girāne ke liye
saañs kī tarkīb par miTTī ko pyaar aa hī gayāḳhud huī qaid us ko siine se lagāne ke liye
jab kahā maiñ ne bhulā do ġhair ko hañs kar kahāyaad phir mujh ko dilānā bhuul jaane ke liye
dīda-bāzī vo kahāñ āñkheñ rahā kartī haiñ bandjaan hī baaqī nahīñ ab dil lagāne ke liye
mujh ko ḳhush aa.ī hai mastī shaiḳh jī ko farbahīmaiñ huuñ piine ke liye aur vo haiñ khāne ke liye
allāh allāh ke sivā āḳhir rahā kuchh bhī na yaadjo kiyā thā yaad sab thā bhuul jaane ke liye
sur kahāñ ke saaz kaisā kaisī bazm-e-sāma.īnjosh-e-dil kaafī hai 'akbar' taan uḌāne ke liye