عشق بت میں کفر کا مجھ کو ادب کرنا پڑا
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath
ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paḌājo barhaman ne kahā āḳhir vo sab karnā paḌā
sabr karnā furqat-e-mahbūb meñ samjhe the sahlkhul gayā apnī samajh kā haal jab karnā paḌā
tajrabe ne hubb-e-duniyā se sikhāyā ehtirāzpahle kahte the faqat muñh se aur ab karnā paḌā
shaiḳh kī majlis meñ bhī muflis kī kuchh pursish nahīñdiin kī ḳhātir se duniyā ko talab karnā paḌā
kyā kahūñ be-ḳhud huā maiñ kis nigāh-e-mast seaql ko bhī merī hastī kā adab karnā paḌā
iqtizā fitrat kā ruktā hai kahīñ ai ham-nashīñshaiḳh-sāhib ko bhī āḳhir kār-e-shab karnā paḌā
ālam-e-hastī ko thā madd-e-nazar katmān-e-rāzek shai ko dūsrī shai kā sabab karnā paḌā
sher ġhairoñ ke use mutlaq nahīñ aa.e pasandhazrat-e-'akbar' ko bil-āḳhir talab karnā paḌā