رمزِ زندگیRamz E Zindagi

جذبۂ دل نے مرے تاثیر دکھلائی تو ہے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 12 sher · Roman Urdu ke saath

jazba-e-dil ne mire tāsīr dikhlā.ī to haighuñgrūoñ kī jānib-e-dar kuchh sadā aa.ī to hai
ishq ke iz.hār meñ har-chand rusvā.ī to haipar karūñ kyā ab tabī.at aap par aa.ī to hai
aap ke sar kī qasam mere sivā koī nahīñbe-takalluf aa.iye kamre meñ tanhā.ī to hai
jab kahā maiñ ne taḌaptā hai bahut ab dil mirāhans ke farmāyā taḌaptā hogā saudā.ī to hai
dekhiye hotī hai kab raahī sū-e-mulk-e-adamḳhāna-e-tan se hamārī ruuh ghabrā.ī to hai
dil dhaḌaktā hai mirā luuñ bosa-e-ruḳh yā na luuñniiñd meñ us ne dulā.ī muñh se sarkā.ī to hai
dekhiye lab tak nahīñ aatī gul-e-āriz kī yaadsair-e-gulshan se tabī.at ham ne bahlā.ī to hai
maiñ balā meñ kyuuñ phañsūñ dīvāna ban kar us ke saathdil ko vahshat ho to ho kambaḳht saudā.ī to hai
ḳhaak meñ dil ko milāyā jalva-e-raftār sekyuuñ na ho ai naujavāñ ik shān-e-ra.anā.ī to hai
yuuñ muravvat se tumhāre sāmne chup ho raheñkal ke jalsoñ kī magar ham ne ḳhabar paa.ī to hai
bāda-e-gul-rañg kā sāġhar ināyat kar mujhesāqiyā tāḳhīr kyā hai ab ghaTā chhā.ī to hai
jis kī ulfat par baḌā da.avā thā kal 'akbar' tumheñaaj ham jā kar use dekh aa.e harjā.ī to hai