خدا علی گڑھ کی مدرسے کو تمام امراض سے شفا دے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 13 sher · Roman Urdu ke saath
ḳhudā alī-gaḌh ke madrase ko tamām amrāz se shifā debhare hue haiñ ra.īs-zāde amīr-zāde sharīf-zāde
latīf o ḳhush-vaz.a chust-o-chālāk o sāf-o-pākīza shād-o-ḳhurramtabī.atoñ meñ hai un kī jaudat diloñ meñ un ke haiñ nek irāde
kamāl mehnat se paḌh rahe haiñ kamāl ġhairat se baḌh rahe haiñsavār mashriq kī raah meñ haiñ to maġhribī raah meñ piyāde
har ik hai un meñ kā be-shak aisā ki aap use jānte haiñ jaisādikhā.e mahfil meñ qadd-e-ra.anā jo aap aa.eñ to sar jhukā de
faqīr māñgeñ to saaf kah deñ ki tū hai mazbūt jā kamā khāqubūl farmā.eñ aap dāvat to apnā sarmāya kul khilā de
butoñ se un ko nahīñ lagāvaT misoñ kī lete nahīñ vo aahaTtamām quvvat hai sarf-e-ḳhvāñdan nazar ke bhole haiñ dil kī saade
nazar bhī aa.e jo zulf-e-pechāñ to samjheñ ye koī policy haielectric light us ko samjheñ jo barq-vash koī koī de
nikalte haiñ kar ke ġhol-bandī ba-nām-e-tahzīb o dard-mandīye kah ke lete haiñ sab se chande hameñ jo tum do tumheñ ḳhudā de
unheñ isī baat par yaqīn hai ki bas yahī asal kār-e-adeñ haiisī sī hogā faroġh-e-qaumī isī se chamkeñge baap daade
makān-e-college ke sab makīñ haiñ abhī unheñ tajrabe nahīñ haiñḳhabar nahīñ hai ki aage chal kar hai kaisī manzil haiñ kaisī jaade
diloñ meñ un ke hai nūr-e-īmāñ qavī nahīñ hai magar nigahbāñhavā-e-mantiq adā-e-tiflī ye sham.a aisā na ho bujhā de
fareb de kar nikāle matlab sikhā.e tahqīr-e-dīn-o-maz.habmiTā de āḳhir ko vaz-e-millat numūd-e-zātī ko gar baḌhā de
yahī bas 'akbar' kī iltijā hai janāb-e-bārī meñ ye duā haiulūm-o-hikmat kā dars un ko professor deñ samajh ḳhudā de