معنی کو بھلا دیتی ہے صورت ہے تو یہ ہے
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath
ma.anī ko bhulā detī hai sūrat hai to ye hainature bhī sabaq siikh le zīnat hai to ye hai
kamre meñ jo hañstī huī aa.ī mis-e-ra.anāteacher ne kahā ilm kī aafat hai to ye hai
ye baat to achchhī hai ki ulfat ho misoñ sehuur un ko samajhte haiñ qayāmat hai to ye hai
pechīda masā.il ke liye jaate haiñ englandzulfoñ meñ ulajh aate haiñ shāmat hai to ye hai
public meñ zarā haath milā lījiye mujh sesāhab mire īmān kī qīmat hai to ye hai