رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اگر دل واقف نیرنگیٔ طبع صنم ہوتا

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath

agar dil vāqif-e-nairañgī-e-tab-e-sanam hotāzamāne kī do-rañgī kā use hargiz na ġham hotā
ye pāband-e-musībat dil ke hāthoñ ham to rahte haiñnahīñ to chain se kaTtī na dil hotā na ġham hotā
unhīñ kī be-vafā.ī kā ye hai āThoñ-pahar sadmavahī hote jo qaabū meñ to phir kaahe ko ġham hotā
lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne paate kahīñ shā.irkoī shīrīñ-suḳhan hotā koī jādū-raqam hotā
bahut achchhā huā aa.e na vo merī ayādat kojo vo aate to ġhair aate jo ġhair aate to ġham hotā
agar qabreñ nazar ātīñ na dārā-o-sikandar kīmujhe bhī ishtiyāq-e-daulat-o-jāh-o-hasham hotā
liye jaatā hai josh-e-shauq ham ko rāh-e-ulfat meñnahīñ to zo.af se dushvār chalnā do-qadam hotā
na rahne paa.e dīvāroñ meñ rauzan shukr hai varnatumheñ to dil-lagī hotī ġharīboñ par sitam hotā